Hum Etny Shor Main Sab Sy Mukateb Bhi Nahi Sajid
Jo Sun Sakty Hai Bas Un Ko Sunai Dy Rahy Hai Hum
Tuesday, April 17, 2007
Wednesday, April 11, 2007
Zindagi k maly main
zindagii ke mele me.n
Khvaahisho.n ke rele me.n
tum se kyaa kahe.n jaana
ais qadar jhamele me.n
vaqt kii ravaanii hai
baKht kii giraanii hai
saKht bezamiinii hai
saKht laamakaanii hai
hijr ke samandar me.n
taKht aur taKhte kii
ek hii kahaanii hai
tum ko jo sunaanii hai
baat go zaraa sii hai
baat umr bhar kii hai
umr bhar kii baate.n kab
do gha.Dii me.n hotii hai.n
dard ke samandar me.n
anginat jaziire.n hai.n
beshumaar motii hai.naa.N
kh ke dariiche me.n
tum ne jo sajaayaa thaa
baat us diye kii hai
baat us gile kii hai
jo lahuu kii Khilvat me.n
chor ban ke aataa hai
lafz ke fasiilo.n par
TuuT TuuT jaataa hai
zindagii se lambii hai
baat rat_jage kii hai
raaste me.n kaise ho
baat taKhaliye kii hai
taKhaliye kii baato.n me.n
guftaguu izaafii hai
pyaar karane vaalo.n ko
ik nigaah kaafii hai
ho sake to sun jaao
ek din akele me.n
tum se kyaa kahe.n jaanaa.N
is qadar jhamele me.n
intekhab khurram shahzad khurram
Khvaahisho.n ke rele me.n
tum se kyaa kahe.n jaana
ais qadar jhamele me.n
vaqt kii ravaanii hai
baKht kii giraanii hai
saKht bezamiinii hai
saKht laamakaanii hai
hijr ke samandar me.n
taKht aur taKhte kii
ek hii kahaanii hai
tum ko jo sunaanii hai
baat go zaraa sii hai
baat umr bhar kii hai
umr bhar kii baate.n kab
do gha.Dii me.n hotii hai.n
dard ke samandar me.n
anginat jaziire.n hai.n
beshumaar motii hai.naa.N
kh ke dariiche me.n
tum ne jo sajaayaa thaa
baat us diye kii hai
baat us gile kii hai
jo lahuu kii Khilvat me.n
chor ban ke aataa hai
lafz ke fasiilo.n par
TuuT TuuT jaataa hai
zindagii se lambii hai
baat rat_jage kii hai
raaste me.n kaise ho
baat taKhaliye kii hai
taKhaliye kii baato.n me.n
guftaguu izaafii hai
pyaar karane vaalo.n ko
ik nigaah kaafii hai
ho sake to sun jaao
ek din akele me.n
tum se kyaa kahe.n jaanaa.N
is qadar jhamele me.n
intekhab khurram shahzad khurram
havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhii gayaa
chiraaG ko jo bachaate the un kaa ghar bhii gayaa
pukaarate rahe mahafuuz kishtiyo.n vaale mai.n
Duubataa huaa dariyaa ke paar utar bhii gayaa
ab ehatiyaat kii diivaar kyaa uThaate ho jo chor dil
me.n chhupaa thaa vo kaam kar bhii gayaa
mai.n chup rahaa ki is me.n thii aafiyat jaa.N kii
ko_ii to merii tarah thaa jo daar par bhii gayaa
sulagate sochate viiraa.N mausamo.n kii tarah
ka.Daa thaa ahad-e-javaanii magar guzar bhii gayaa
jise bhulaa na sakaa us ko yaad kyaa rakhataa
jo naam dil me.n rahaa zehan se utar bhii gayaa
phaTii-phaTii hu_ii aa.Nkho.n se yuu.N na dekh mujhe
tujhe talaash hai jis kii vo shaKhs mar bhii gayaa
magar falak kii adaavat usii ke ghar se na thii
jahaa.N 'Faraz' na thaa sail-e-Gam udhar bhii gayaa

Subscribe to:
Posts (Atom)